Tuesday, December 28, 2010

hasrat...

teri agoosh mein rahu hasrat hai meri
teri zulfon tale soya karu hasrat hai meri
hai hasrat ye ki tujh se saje ho din-rat mere
aur nindon mein dekhti ho mujhe nazarein teri...

teri yaad...

kabhi naam liya mohabbat ka to teri yaad ai
kabhi naam liya ulfat ka to teri yaad ai
yaad ai teri jab pooja kahi khuda humne
aur kabhi dhoondha khud ko to teri yaad ai

yaad...

yaad ati hai teri kabhi to pee leta hu
yaad jati nahi teri kabhi to pee leta hu
kabhi rota hu kabhi hansta hu
kabhi marta hu kabhi jee leta hu...

fasana...

geeton mein mere tera hi tarana hai
kehna hai kya aur kya ab chupana hai
tere liye hi jiye the tere liye hi mar gae
bas itni hi kahani hai bas itna fasana hai...

Wednesday, November 17, 2010

khud se begane ho gae

kabhi tujh mein itne kho gae ki khud se begane ho gae
kabhi ishq mein itna ulajh gae ki afsaane ho gae
kya parwah unhe is zamane ki
jo parwane, deewane ho gae...

Tuesday, November 16, 2010

meri zindagi ke mayane...

ashq-e-nadaamat ko khushi ka ehsaas bana k chupaya hai palkon mein
tu beh na jana kahi mujh se bewafaai kar ke
meri zindagi ke mayane hai bas teri hi hansi
tu juda na ho jana kahi mujh se mera lahu ban ke...

Monday, November 15, 2010

jane kab...

jane kab rat beeti jane kab subah hui tere intzaar mein
jane kab se hai palkein khuli jane kab se hai dil bicha rakha ter intzaar mein
ek tere ane ki aahat sun-ne ko betaab hun mein kab se
jane kab zindagi ruki jane kab maut ai tere intzaar mein...

Ek dil jo tujh se milne ki dua kare...

ye dil jo tujh se milne ki dua kare
ye nigah jo tera rasta dekha kare
sab naseebon k khel hai 'sharma'
koi soye chain se raton ko aur
koi kisi ki yad mein tadpa kare...

Sunday, October 3, 2010

wo khwaab…

ek khwab jisne meri zindagi badal di
mere muskurate hue jahan ki tasveer badal di
wo haqeeqat jo ai thi meri zindagi mein ek haseen sama ban k
us ne mausmon ki rangat badal di
mere jahan mein bhare itne rang usne
ki meri nigahon ki taaseer badal di
kuch pal rahi meri hi ankhon mein ban k woe k sapna suhana
fir jo bahi wo askq ban k us ne meri taqdeer badal di…

khwaab...

ek khwaab ata tha roz mere khwabon mein
tu hi sarmaya tha mere khwabon mein
ek hi rehguzar thi meri ek hi manzil, tu
hosh aya to paya zindagi lut chuki thi khwabon mein
na wo tu thi GAZAL si mere saamne
na haseen aashiyan tha koi, na hi tere kadmon ke nishaan
bas ek tanha sa tha mein, is veeran jahan mein
aur ret si ud rahi thi teri tasveer ankhon mein

Monday, September 13, 2010

saaki aur sharab...

paimana koi bhi ho nazar rakhi hai hum ne hamesha saaki par
sharaab to bahana hai duniya ko dikhane k liye...


saki ki nazron ka andaz-e-bayan kuch aur hi hota hai
jo paimane mein wo bat hoti to log na jata maikhane tak...


jam bahut hai mehfiln mein par wo baat nahi
jo chalke teri ankhon k paimane to shaam rangeen ho jae...

Thursday, August 26, 2010

kabhi shab ati hai teri yaad le kar...

yun to bahut hai haseen chehre nigaah mein
fir bhi jahan dekhu, tera hi gumaan hota hai
kabhi shab ati hai teri yaad lekar
kabhi teri yaadon ke saaye mein din dhalta hai

bahut hai bahane man behlane ke
ye dil hai ki tera naam le k machalta hai
kabhi meflil mein kabhi tanhai mein
rula jaati hai teri yaad mujhe
kabhi dil teri yaadon ka sahara le kar sambhalta hai...

Sunday, June 6, 2010

teri yad...

mein jis jaanib jata hu teri yad saath hoti hai
mein rukh jidhar ka karta hu teri parchai saath hoti hai
ghabra jata hai dil teri judai k khayal se
sambhalna mushkil hota hai jab bat teri burkat ki hoti hai...

Friday, June 4, 2010

wo ek naam...

bas yu hi guftagu mein
aaj kisi ka naam aya
na koi bat thi na hi kuch masla
jane kyu ek badguman sa khayaal aya
ye kya hua tha mujhe jo sun ke us naam ko
mere soone dil mein, uth-ta hua ek toofaan aya
na guzra waqt yaad hai mujhe ab
na hi kuch hosh hai kal ka
na apna hi khayaal hai baki
na kuch parwa hai zamane ki
kisi ne poocha sabab mere haal ka
zuban pe wahi ek naam aya
kisi se kehte to kya kehte
kuch karte to kya karte
doobti sansein thi aur dhadkanein kamzoor
zuban jab hone lagi khamoosh to
ladkhadata hua faqat ek naam aya...

Friday, May 21, 2010

chali gayi tu chod ke mujhe jane kaunse jahan mein...

chali gayi tu chod ke mujhe jane kaunse jahan mein
kash thehar jati kuch pal to shayad hum bhi ro lete teri panahon mein
ye dard dil ka kum to na ho pata
par wo sailaab to beh jata jo thehra hua hai ankhon mein...

Wednesday, May 5, 2010

sab gum bhula chuka hu ek tere gum ke siwa...

sab gum bhula chuka hu ek tere gum ke siwa
sab kuch luta chuka hu mein ek teri chahat ke siwa
meri khushi, meri zindagi, mere jivan ka sahara
sab cheen liya tune mujh se, ek teri mohabbat ke siwa
kitna khush tha mein, kitne chahne wale the
kisi se dil na laga saka, ek tere siwa
kehne ko to tarike bahut hai man behlane ke
lekin ye dil nahi behelta ek tere siwa
kehte hai mohabbat mein sirf diya jata hai
hamne apna sab kuch de diya tum ko, ek apne naam ke siwa
zindagi se wada hai ke ji na sakenge
maut se, ki mar na sakenge...tere siwa...

humein maloom na tha...

dard ate hai khushi ka chehra liye humein maloom na tha
jina padega aap ke bina humein maloom na tha
kabhi socha na tha ki shab-e-intzaar kismat ban jaegi
dil ke dard hote hai itne sangeen, humein maloom na tha...

hai kaun ye sapnoo mein aya fir se...

(kalam chali hai fir aaj
chot purani koi ubhar ke aai hai
dard bayan hota nahi
ab sirf mein aur meri tanhaai hai)

hai kaun ye sapnoo mein aya fir se
kis ne di mere naam ki duhaai hai
han koi to hai jo bulata hai mujh ko
zara bata to, kaha pe wo saudaai hai
mein jaan aapni jis ke hawale kar aya tha
yadon ke jungle mein chupa hua wo harjaai hai
chahiye mujhe dil apna wapas us sangdil se
koi aur bhi hai jo is ka tamannaai hai...

ek hi shaqs tha jo na bhulaya gaya hum se...

ye zindagi teri kahani na ban saki
aur koi nagma bhi na gaya gaya hum se
yun to sau dard roz bhool jate hai hum
ek hi shaqs tha jo na bhulaya gaya hum se...(to be cont..)

har geet mein sunai deti hai teri awaaz mujhe...

har geet mein sunai deti hai teri awaaz mujhe
ek hi nagma sunai deta hai ek hi saaz mujhe
jaise veerane mein laut ati hai sadaa takra ke vaadiyon se
aise aati hai dil ke har kone se teri awaaz mujhe…

Monday, April 19, 2010

aur ek rat guzar gai tere intzar mein...

aur ek rat guzar gai tere intzaar mein
fir hai palkein bheegi meri tere intzaar mein
kahi aisa na ho ae humdum mere
ke jee bhi na paye hum aur maut bhi na aae tere intzaar mein...

Monday, April 12, 2010

tera chehra-2

sooni ankhon mein khwaab de gaya tera chehra
dhadakte dil ko ehsaas de gaya tera chehra
humne kabhi na socha tha, aisa bhi waqt aega
jab rat rat humein jagaega tera chehra...

------------------------------------

wo subah bahut khushnuma hoti hai, jis din dekhu tera chehra
ke palak khule meri aur samne ho tera chehra
bhula du dono jahan ko jab dikhe tera chehra
mere jahan ke asmaan pe chaya hai, khwaab sa sundar tera chehra...

teri yad ai jab kabhi...

teri yad ai jab kabhi, humne tujhe pukara bhi
dikhe jo tum humein kahi, ankhon se kiya ishara bhi
tumne shayad dhyan na diya tanhai ke shor par
mila zaroor hoga tumko, mere dil ka ishara bhi...

jab se tujhe dekha nahi hai...

jab se tujhe dekha nahi hai
lagta hai nigahon mein roshni nahi hai
ye kaunsa jahan hai, hai ye kaunsi duniya
ki jis mein tu shaamil nahi hai
hun mein hairaan, hun mein pareshaan
aisa kabhi pehle hua to nahi hai
jane kis jaanib rukega ye safar mera
na rasta na manzil, koi nahi hai...

to tum yad a jate ho...

jab padti hai chand pe nazar, to tum yad a jate ho
jab koi kali hansti hai, to tum yad a jate ho
bhool chuka hun mein ki tum kaun ho
jab dil dhadakta hai, to tum yad a jate ho
ab yad nahi mujhe ki kabhi chaha tha tumko
jab jhapak-ti hai palak, to tum yad a jate ho
ye na samajhna ki tum ko sochta hu mein har pal
jab chalti hai sansein, to tum yad a jate ho...

one liners...

ye waqt bhi guzar jaega jaise ek sapna bura,bas tu sath na chodna ae 'zindagi' kabhi...
------------------
tujhe is kadar na chaha hota hum-ne, magar ye dil kambakht daga de gaya...
----------------------
ae meri 'zindagi' humein mohabbat ho gai hai tumse, ke jab se tum mile ho, jana hai ki zindagi kya hai...
-------------------------
lai hai seher-e-naseem teri yad sath mein, ae dil tu bahak na jana kahi...
--------------------
ek tishnagi jaagi hai jab se tujhe jana hai ae zindagi, ab koi aur tamanna baki nahi is dil mein...

teri yad mein kitna tadpe tumhe kya bataye...

teri yad mein kitna tadpe tumhe kya bataye
tumhe milne ke liye kya kya jatan tumne nahi dekhe
kitne khush the tumhe samne pa kar hum
dil ne sahe kitne dard tum se door ja kar tumne nahi dekhe...

i knew that you are the one..

(this is my 1st attempt to write something in english...)

i knew that you are the one
i knew i was in love with you, the first time we met...
can't describe the feeling i had
oh! it was different from everything i had, the first time we met...
you changed my life forever
i can't help but luv you more now, 'coz you are special to me
oh! the things you do to me
i never thought love existed, until we met...
i don't know what life will be if you go away
i don't know how i will survive now that we have met...
baby i will love you forever, i can't help it
no matter what i say or what you do
this feeling wont go away...now that we have met...
i may have to cry for the rest of my life
i may have to do without you, oh! but you are my life
i can't help it and the feeling wont go away...
now that we have met...

hai tumhe pana bahut mushkil...

hai tumhe pana bahut mushkil ye sach hai lekin
tumko na pa sakenge yakeen nahi hota
koshish bahut ki tumne samjhane ki mujh ko
jane kyu tumhari bat par yakeen nahi hota
humein vishwas bahut hai apni mohabbat ka humdum
jane kyu tum ko mujh par yakeen nahi hota
jane kyu ye dil naumeed nahi hota
tum na aoge mere paas yakeen nahi hota...

Tuesday, April 6, 2010

sab bahane hai tujhe yad karne k…

ye raqs teri judai ka, ye sajda padhna tere naam ka
ye bistar ki silwaton mein tujhe dhoondhna, sab bahane hai tujhe yad karne k…

yun raat raat jag ke tera intzaar karna...

yun raat raat jag ke tera intzaar karna
yun soch soch tujhe har pal pyar karna
yun dhoondhna tera chehra har haseen chehre mein
yun din ka chain khona aur ratein beqaraar karna…

wo shaqs...

har shaqs apni zindagi ka malik aap hota hai
mera malikl, meri manzil hai wo jisne meri manzilein badal di
wo ho gaya door mujh se meri nindein chura ke
us ne meri raton ki karwatein badal di
meri zindagi mein jagah na thi kisi anjan sapne ki
us ne mere sapnon ki tasveer badal di
wo chala gaya mujhe chod ke hamesha ke liye intzaar mein
hum roye na the kabhi, us ne meri taqdeer badal di…

tera chehra...

har pal tumko dekha karu mein,isliye ankhon mein basa liya tera chehra,
jab yad tumhari ati hai, boond boond ankhon se tapakta hai tera chehra…
mere khwabon mein ban-ne laga hai tera chehra,
meri gazlon mein dhalne laga hai tera chehra,
dar lagta hai kahi deewana na ho jau mein, ab dikhne laga hai aaine mein tera chehra…
--------------------------------------------------
sooni ankhon mein khwab de gaya tera chehra
dhadakte dil ko ehsaas de gaya tera chehra
hum ne kabhi socha na tha aisa bhi waqt aega
jab rat rat jagaega humein tera chehra…
-----------------------------------------

aaj khwaab mein meine ek sundar sa khwaab dekha tha
bikhari zulfein madhosh nigahein nind mein dooba hua sa tera chehra
kash meri har subah ho itni hansi
jab ankh khule to dekhu yahi manzar, aur ye khwaab sa haseen tera chehra…
---------------------------------------

hum sochte hai kya kehta hai tera chehara
ye jheel si ankhein ye khwaab sa chehra
tujhse mulaqat hui hai jab se,ankhon mein bas gaya hai tera chehra…
hum ne kaha ankhon se dekho hai nazare kitne hansi
ye neela aasman ye tare ye sundar zamin
wo boli ki nazaron mein nahi hai tera chehra…
har khwaab soona soona tha, har manzar fika fikha tha
har bhawra pyasa pyasa tha, jab tak kaliyon mein nahi samaya tera chehra…

Friday, March 26, 2010

ab raton ko nind nahi ati...

ab raton ko nind nahi ati aur din ka qaraar kho gaya
hai ek shaqs jo mere khayalon pe sawaar ho gaya
sab hota hai khel naseebon ka ‘sharma’
tune dil ko na bichdne dena tha,aur wahi gumnaam ho gaya…

wo mujhe kabhi tanha nahi chodta...

(a novice attempt to write a triveni, a distinct style invented by the living legend...gulzaar)

wo mujhe kabhi tanha nahi chodta
mein rooth bhi jaun khud se kabhi
wo mujh se muh nahi modta...

jane ye kaunsa rishta ban raha hai us se
jane kyu apna sa lagta hai wo
mera dil mujh se kabhi jhooth nahi bolta...

ye tasveer si kyu banti hai us ki khayalon mein
kyu us ke deedaar ko tadap raha hu mein
aise to man mera kabhi nahi dolta...

ae khuda itna karam karna mujh pe ab
ki use door na karna nigahon se, qayamat hogi
han banda ye tera jhooth nahi bolta...

Thursday, March 25, 2010

wo itna haseen lagta kyu hai...




wo itna haseen lagta kyu hai
mein janta nahi hu use fir bhi
ye dil se dil ka rishta kyu hai
kyu hota hai ye kabhi, ki koi
dil mein chup chaap sama jata hai
kyu kabhi koi apna nahi ban pata
aur man usi ke piche bhaga jata hai
hai ye shaks kaun jo chaya hai is kadar khayalaat mein mere
kyu wo paraya ho kar bhi apna nazar ata hai
hai ye kaun jo itna masoom sa lagta hai mujhe
ki naqsh us ka mere zehan mein samaya jata hai
aisa hota hai kyu ki dil mein wahi hai samata
jud jate hai usi se sab rishte, jo dil tod ke chala jata hai...

kyu ek GHAZAL si dikhaai deti hai mujhe us mein
kyu mera dil us ke naam pe dooba jata hai...
hai ye kaun jo mujhe apna banaye jata hai
mujh ko mujhi se churaye jata hai...

raqs parwane ka dekh ke...

raqs parwane ka dekh ke sab man behlate hai
wo kis chahat mein jalta hai ye koi nahi sochta
subah bahut khushnuma lagti hai bheegi bheegi ghans par
kaun rat ko itna roya hoga ye koi nahi sochta
hum deewano ka itna hi fasana hota hai bas, ke
heer-ranjha ko pooj-te hai sab, un ke milne ki dua koi nahi sochta
ye awara se nagme jo kuch hote hai bayan
sunte inko sab hai, par dil mein hai dard kitna
ye koi nahi sochta...

Tuesday, March 23, 2010

na dava ne asar kiya...

na dava ne asar kiya, na dua kam ai mere
jo teri yad ai, bas ek may kam ai mere
jab tera khayal ata tha, mein bekhayal ho jata tha
aise mein dost wahi hua, jisne sharaab muh lagai mere...(to be cont.)

Friday, March 19, 2010

han pehli bar meine dekha hai mohabbat ko...

(i recently visited the place where it all started...madurai medical college...and while leaving it, i was kind of sad...aisa lag raha tha jaise dil mein kuch toot sa raha hai...kuch dard hai...aisa kuch jise bhula pana namumkin hoga...this prompted to me to write this compostion...which is quite different from others)


jab hum un galiyion se guzarte hai, dil mein yadon ke bhawar uth-te hai
yaad ati hai unki kuch is tarah, jaise ki hum parchaiyon ke peeche chalte hai
kash wo waqt hum fir se ji sakte, to un se kehte ki kya guzarti thi hamare dil pe
jab wo un qatar nigahon se dekhte the humein
ke ye shayari, ye GHAZAL, sab unhi se mukhatib hai
ki kyu na hum keh pae unhe kabhi dil ki bat...ke chaha tha un ko is kadar
jaise koi apni zindagi ko chahta hai, ki wo ibadat the meri, aur aaj bhi
har zoo unki arzoo karta hai dil, har pal unhi ko dhoondhti hai ankhein...
ki har din ek saza hai un ke bin ab...lekin kaise keh dein unko ye
ke dil unko khone ke khayal se itna darta hai ki unko pane se ghabrata hai...
ye sab ab sirf batein hai karne ki, kuch kehne ki kuch sun-ne ki
lekin ye sach hai meri zindagi ka, jo kabhi na badlega...
han pehli bar meine dekha hai mohabbat ko, meine jiya hai us pal ko...
han meine khoya hai us shaqs ko...meine khoya hai us pal ko...

Tuesday, March 16, 2010

dil dard ka ek dariya hai, ise mohabbat se milne na do...

dil dard ka ek dariya hai, ise mohabbat se milne na do
jo ho jae kabhi kisi se pyar, use dil se nikalne na do...

masoom si nigahon mein pyar ka fasana hota hai
jane kitni jan leti hai, jane kin pe unhe mar jana hota hai
un masoom nigahon se apni nigahein milne na do
han, dil dard ka ek dariya hai, ise mohabbat se milne na do...

ishq jo ho gaya, apna dil hi tumhara na rahega
jagaaega raaton ko kisi ka naam leke, tumhe majboor kar dega
apne hosh sambhalo, inhe yu gumne na do
han, dil dard ka ek dariya hai, ise mohabbat se milne na do...

mehboob ke dar se laut ana asaan nahi hota
zindagi thahar jati hai, guzara nahi hota
apni zindagi ko is kadar thaharne na do
han, dil dard ka ek dariya hai, ise mohabbat se milne na do...

Mere khwabon mein ek saya sa ata hai...

mere khwabon mein ek saya sa ata hai
ek naksh sa banta hai aur dhul jata hai
ek kasak si uth-ti hai aur sihar jata hu mein
har pal mujhe wo bas teri yad dilata hai...

aap se mila tha mein, aap ko chaha tha humne
aap ki yadon se har lamhe ka sajaya tha humne
dil poochta hai ki jab koi zindagi mein itna ho shamil
to kyu akhir wo nata tod jata hai...

kya kisi ko chahna hi kafi nahi hota
kya apna sab kuch lutana kafi nahi hota
kyu ishq mangta hai dil se nikla khoon
kyu hota hai ki in ke bawjood dil toot jata hai...

hum ghataon mein hai ghire hue
lagta hai ki girte hai ansu baraste hue
kyu lagta hai ki suraj ki chamak hai sirf tujhe hasil
kyu hota hai ki nazar mein aur koi nahi samata hai...

humne lakh koshish ki ke lab pe tera naam na ae
maikhana-o-sharaab se hi sahi, nasha tera utar jae
har koshish naakaam rahi aur hum har gae
akhir pehle pyar ko kahi koi bhool pata hai...

Monday, March 8, 2010

ye dooriyan ye fasle dilon ke...

ye rasm-e-mohabbat, ye riwayatein zamane ki
dil pe hai sau pabandiyan, kaise jatan karu tere dil mein jagah banana ki
ye dooriyan ye fasle dilon ke, kitni hai mushkilein raste par
dekh kaisi kaisi koshish karu mein dooriyan ghatane ki
tu khush hai mujh se door ye soch ke ji leta hu
fir koshish bhi kya karu tere karib aane ki
sab raste le jate hai mujhe tujhse door yaha
mein dhoondh raha hu koi dagar tere dil tak jane ki
ye silla mila hai mujhe teri chahat ka sanam
zindagi se bola hai, nahi zaroorat mere karib aane ki
ab khushiyan bhi aati hai dard ki saugaat liye
aur dil rota hai, ki koi umeed nahi tere laut ane ki….

ke tera khayal a raha hai mujhe...

aaj fir kalam uthi hai meri
ke tera khayal aa raha hai mujhe
aaj fir ek nagma hoga bayan
ke tera khayal aa raha hai mujhe
hasratein ho rahi hai jawan
ke tera khayal aa raha hai mujhe
toot-ti sansein fir jud rahi hai
ke tera khayal aa raha hai mujhe
hai fir ek nayi umang jagi
ke tera khayal aa raha hai mujhe
lagta hai ek fariyad hai baki
ke tera khayal aa rha hai mujhe
ab poojne laga hu rab ko mein
ke tera khayal aa raha hai mujhe
tera hijr ab nahi nibhta mujhse
ke tera khayal aa raha hai mujhe
aaj fir dil tuta hai mera
ke tera khayal aa raha hai mujhe
aaj fir khoon behta hai ankhon se
ke tera khayal aa raha hai mujhe…
hun mein majboor kaise karu tujhse bayan
jo dard dukha raha hai mujhe
hai bas teri hi khalish baki is dil-e-naamuraad mein
jo pal-pal tadpa raha hai mujhe…
ke tera khayal aa raha hai mujhe...

hum tere intzar mein khud ko khatam kiye jate hai...

hum tere intzar mein khud ko khatam kiye jate hai
dil ke jale hum tere pyar mein apne zakhm hare kiye jate hai
lab pe hai dua ki teri khushi ki hifazat khuda kare
arman tujhe pane ka liye hum khud ko dafan kiye jate hai…
tum se hi hai ab tak sab khushiyon ki nisbat
ab tum nahi to inko bhi dafan kiye jate hai
tum aao ye dua rahegi lab pe hamesha
ye na ho ki tum aao aur hum (duniya se) chale jate hai….

tujhe jitni baar yaad karu...

tujhe jitni baar yaad karu, utni baar ek maut maru
ek tu hi mujhe tadpata raha, ek tu hi mujhe satata raha
meine dekhe the jo sapne tere, har pal unhe jiyu, har pal unhe dafan karu
teri yad mujhe satati hai, teri khalish dil chalni kar jati hai
har pal mein rou, har pal mein hasu
ab tu hi bata mein kya karu aur kya na karu
tujhe khwab mein dekh jita mein gaya
dekh teri chahat ne mujhe kaha la diya
ab aage rasta nahi aur manzil hai door kahi
anjaan mulk anjaan dagar,hu akela, na koi humsafar
dil darta hai tu door kahi
mein tujhse juda, tu nazron mein nahi
aankhon mein ab nind nahi
mera dil hai kahi, mera chain kahi
mein aise na jiyu, aur tere bin na maru
ab tu hi bata mein kya karu aur kya na karu….

in hoton ki hansi na dekh...

in hoton ki hansi na dekh
ankhon mein nihaa mera dard bhi dekh le
teri yad ke guhar se saja rakha hai jo
wo hansi tajmahal bhi dekh le…

(nihan-burried/hidden, guhar-pearl)

Monday, March 1, 2010

ye zaroori to nahi...

dil toote aur awaaz ho ye zaroori to nahi
ashq ankhon se bahe har waqt ye zaroori to nahi
yu bhi hota hai aksarki marg-e-dil dikhai nahi deti
har maut pe ho shook mehfil ye zaroori to nahi...

(marg-e-dil= death of heart)

har dard bayan kiya jae ye zaroori to nahi
har zakhm dil ka dikhaya jae ye zaroori to nahi
bahut bar hota hai ye bhi ke ankhein keh deti hai daastan sari
har bat zabani kahi jae ye zaroori to nahi...

hum tum se pyar karte hai ye sach hai lekin
aur kisi se na kare ye zaroori to nahi
dil pe asar tere husn-o-shabaab ka hai
asar may ka na ho us pe ye zaroori to nahi...

(may=sharab)

dil pe chaya nasha tere pyar ka hole-hole...

dil pe chaya nasha tere pyar ka hole hole
mushkil mein pad gai meri jan hole hole
hai kuch khayal tera mujhe, kuch asar hai sharab ka
khul rahi hai dil ki kitaab hole hole...

yun to aksar tanhai kat jati thi jaam ke sath
aaj asar kuch aur hua teri yad ka hole hole
rat baki hai abhi raaz ko raaz hi rehne do
ke utthenge sab parde dilon se hole hole...

tum hote to ro k guzaar lete ye raat bhi
tum ne ye bhi sahara cheen liya humse hole hole
gul aur bhi hai gulistaan mein magar, abhi nasha teri chaahat ka hai
ke behkegi hamari bhi nazar hole hole...

dil masroof hai...

dil masroof hai har pal tere khayal mein
tera rang dhoondh raha hu holi k gulaal mein...

Tuesday, February 16, 2010

meri shayari ne tujhe...

meri shayari ne tujhe GHAZAL banaya hai
mere dil pe tere pyar ka saya hai
mera har pal hai tujh se juda hua
meri zindagi ka tu hi to sarmaya hai...

Monday, February 15, 2010

kash tere dil ko mere dil se pyar hua hota...

wo baithe sun rahe hai dil ki daastaan shauk se
kash mohabbat ka teer unke bhi dil ke paar hua hota
wo sanjeedagi se jite hai, mohabbat nahi jante
kash is masoomiyat se na nazron ka takrar hua hota
zindagi ek bhanwar mein ulajh kar reh gai
kash tu, bas tu, mera patwaar hua hota
meri zindagi ka malik hua hai jo
kash tere dil ko mere dil se pyar hua hota...

khwab-e-tasavur...

khwab-e-tasavur mein ate the to chain na padta tha
ke samne ake tumne dil ki beqarari aur bhi badha di...

teri parchaai ko bhi chune se ab to lagta hai dar
mein paas jo gaya to sharma ke usne nazar yu jhuka di...

sari-sari rat ankhon mein kat-ti hai

sari-sari raat ankhon mein kat-ti hai
din mein bhi karar ata nahi
dil hai ki bhawar mein hai uljha hua
sahil nazar ata nahi
ek ashiq teri mohabbat mein tadap raha hai
tujhe kyu chaha is kadar, ab talak samajh ata nahi
o sang dil, tujhe sada dil samjhe the hum
chot jo khai thi uska, dard ab bhi jata nahi...

kab se tujhe dekha nahi hai...

kab se tujhe dekha nahi hai
lagta hai nigahon mein ab roshni nahi hai
kab aega saamne, mujhe ae mere dildaar bata de
tadap raha hai dil, koi tera chehra dikha de...

mohabbat mein bat banti nahi...

mohabbat mein bat nahi banti jab tak pagalpan nahi chata
ulfat mein maza nahi ata, jab tak kinara nazar nahi ata
meri mohabbat dasht-e-sehra mein bhatakti hai teri janib
kaise choote teri aas, jab tak maut ka paigaam nahi ata...

...

nami kuch ab talak hai ankon mein, lagta hai tera naam fir yad a gaya...




kya batayen kya jal raha hai, bas ek aag si lagi hai kahi, aur dhuan uth raha hai...


mana ki ishq asan nahi hota, lekin gum-e-ishq hi jahan nahi hota...

tere dar-o-baam se...

tere dar-o-baam se apna imaan utha kar gaye
hum apne sir laga ilzaam utha kar gaye
tune chod diya humein apne haal pe
hum apni ulfat ki lash aap utha kar gaye...

Wednesday, February 10, 2010

tere anchal mein nahi simatega...

tere anchal mein nahi simtega ye pyar mera
samet sakta ho to samet kar dekh le
hum tere liye apni jan bhi de denge sanam
gar na ho yakeen to aazma ke dekh le
lab pe naam tera leti hai sari duniya
dil mein na hoga kisi ke, har dil ko cheer kar dekh le
tu mujhe bhool gaya bas ek baar mil ke
meri yad mein kabhi khud ko bhula kar dekh le
ishq hota hai kya ye jaan jaega tu
bas ek bar khud ko mujh mein samet kar dekh le...

chahne wale hazaron honge tumhare...

chahne wale hazaron honge tumhare
humsa magar kaun tumhe chahega
kanton bhare raston par tumhare liye
hatheli apni kaun bichaega
jao jaha chahte ho jana
kar lo sabhi shauk poore
jab tanha reh jaoge raste mein
to sath hamare siwa kaun nibahega
tumko pasand sirf dikhawa hai
duniya mein sirf chalawa hai
basa lo kisi ko bhi apne ghar mein
kaise dil mein koi bas jaega...

jab soya...

jab soya to sapno mein tumhe dekhna chaha
jab jaga to saamne tumhe dekhna chaha
ek teri chahat ke siwa
humne kuch kabhi na chaha...

aaj bhi tum rehti ho man mein...

aaj bhi tum rehti ho man mein
aaj bhi tera pyar hai jawan,
dhadkan ban kar basi ho dil mein
lahu ki tarah rag-rag mein ho rawan,
chalta hu mein usi ret par
jis par hai tere kadmon ke nishan...2

tum mano ya na mano...

tum mano ya na mano ye shiddat hai tumhari
ye sirf shayari nahi mohabbat hai hamari
jana chaho door humse, izazat hai tumhe
bas laut ana agar kabhi yad ae hamari...

aaj mere ishq ka fasana hua hai...

aaj mere ishq ka fasana hua hai
dal de is mein jaam ke dil paimana hua hai
tujh pe lutane chala hu jaan apni
deewane bhi kehte hai deewana hua hai...

aks...

apne aks mein aks dekhta hu tera
kho jati hai hasti meri
jis din tujhe dikhega tere aks mein aks mera
sanwar jaegi duniya meri...

jane kyu par tujh bin...

jane kyu par tujh bin sab udas sa lagta hai
jis din tera deedar nahi hota, wo din badhawaas sa lagta hai
tujh bin ji nahi sakta, tujh bin mar nahi sakta
jeevan ek khali kitaab, ek anbujhi pyaas sa lagta hai...

jab bhi tum yad karti ho...

jab bhi tum yad karti ho
ek ahat si hoti hai
dil ki mehfil sajti hai
ek dastak si hoti hai...(to be contd.)

hawa ke har jhonke mein...

hawa ke hae jhonke mein tera ehsaas hota hai
yahi to hai jo har pal mere paas hota hai
sans jo mein leta hu, ati hai teri hi khushboo
mere khwabon ki duniya mein basi hui hai tu hi tu...

Tuesday, February 9, 2010

dhadkan dheemi, nabz thami hui si lagti hai...

dhadkan dheemi, nabz thami hui si lagti hai
jaha bhi dekhta hu, teri surat saji hui si lagti hai
ehsaas hota hai tere saath ka har pal mujhko
jaise meri rag-rag mein basi hui si lagti hai...

tumko na bhool paenge...

ye waqt guzar jaega, sara manzar badal jaega
wo guzre hue din, wo bite hue pal humko sataenge
tuko na bhool paenge...

ji to chahta hai wo sab laut ae
wo waqt, wo lamhe jo tum sang bitae
par jane wale kab laut ke ae hain, kab aenge
tumko na bhool paenge...

hum samjhe hai ab, ab sambhal jaenge
par sambhal ke bhi kya sambhle
jo tumko sang na paenge
tumko na bhool paenge...

kash ke teri bahon mein yu hi nikal jata dum
maut ka dukh na hota, na hota judai ka gum
ye arman hai wo mere, jo dil mein hi machal jaenge
tumko na bhool paenge...

hum raah dekhenge tumhari, jab tak kayamat na aegi
ye gum judai ka jab tak rooh seh paegi
asha ki aas na chodenge, wo waqt wapas laenge
tumko na bhool paenge...

wo manzar, wo lamhe, mere pyar ke age muzboor ho jaenge
jo tumko kho diya to kya, tumko wapas paenge
tumko na bhool paenge...3

arman...

tum mere dil mein raho, ye mera arman hai
tum meri pehchan bano, ye mera arman hai
mera har arman hai tujh se juda hua
tujhse lekar tujh tak..bas itni meri daastan hai...

awara pal...

awara pal yu bit-te hai meri zindagi ke
teri chahat mein aise bhatakta hu mein
jaise ab kuch bacha hi na ho mujh mein
ek teri chahat ke siwa...

Tujhe is kadar chaha....

The 2nd line which repeats itself is ALMOST copied from a famous GHAZAL by an old urdu poet, rest is mine)

Tujhe is kadar chaha ki tere gum mein, sab gumon ko bhula diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

ik teri yadon ko pirone ke liye, sab yadon ko mita diya
mein chala aya apne desh chod ke, apne sapno ko tod ke
sirf tujhe pane ke liye, dekh meine kya-kya na kiya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

maut se bhi mila magar, wo mujhe chod ke chali gai
kehti thi ki tere dil mein dhadkan hi teri nahi, tu mere kabil nahi
dekh teri judai ne mujhko patthar bana diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhko kya bana diya...

tune bhulana to chaha bahut mujhe, aur is koshish mein mujhko yad kiya
teri har koshish ne mujhko ek naya zakhm diya,
mere dil pe kya-kya guzari, meri ik jhalak ne tujhko bata diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

dekha jo meine aina, teri hi surat nazar ai
mera aks mujhse bichad gaya, meri rooh bhi ghabra gai
dekh teri judai ne, mujhko mujh se juda kiya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

Tum kya gaye ankhon ne...

Tum kya gaye ankhon ne tere intzar mein kuch dekha hi nahi
zindagi to kai bar mili, meine uska pata poocha hi nahi
teri arzoo thi kuch is kadar hawi
ke rab aya samne to use bhi pooja nahi
ab mera rab bhi hai mujhse khafa
aur tu mujhe hasil nahi
meri zindagi ka falsafa hai tu hi
aur tu kehta ki mein tere kabil nahi...

Saturday, February 6, 2010

chandani raat mein...

chandani rat mein, badlon ke darmiyan, yu muskurana aap ka
bas apni ek ada se wo qatl kar jana aap ka
aap ko dekha aur khud ko bhool baithe hum
tha kuch aisa hi mehtaab sa chehra aap ka
deedaar hua aapka aur nashe mein kho gaya
ye aankhein hai aap ki ya maikhana hai aap ka
aap ko paa kar khudai bhi luta dete hum
ae jan-e-GHAZAL, jo sath mil jata aap ka
dekha jo aap ko, sapne dekhte reh gae
zindagi khwab se khakh ho gai
jo hua yun mil ke bichadna aap ka....

ae saaki tughe...

ae saaki tujhe samjhane se kya hoga
dard-e-dil dikhlane se kya hoga
pyas mujhe teri mohabbat ki hai
duniya bhar ke maikhane se kya hoga...

some-one wrote these beautiful words..

toot jate hai sabhi rishte, dil se dil ka rishta apni jagah
dil ko hai tujhse na milne ka yaqeen, tujhse milne ki dua apni jagah...

raston ko paar kar ke..

raston ko paar ke manzilon ko kho diya
tere siva is dil ko kuch diya to kya diya
jine ke liye dil ki zaroorat hai aur dil ko teri
jab tum hi na mili to ji ke bhi kya jiya...

dard-e-dil sunane ko hai bahut..

dard-e-dil hai sunanae ko bahut
par har shakhs ko ye sunaya nahi jata
tera naam kis tarah lu mein sab ke samne
ke shayari mein GHAZAL ko dhaalaa nahi jata
tu ek "khazana" hai jise paane ko dil chahta hai
par ye bhi to sach hai ki
har "khazana" duniya mein paya nahi jata...

dard-e-dil ki dastan kya sunae..

dard-e-dil ki daastaan kya sunaye, bas tera hi naam aega
apni halat kya batae, mere qatl ka sabab poocha jaega
koi hum ko kuch kahe to sun le sau tane bhi hans ke
kisi ne tujhko patthar kaha to saha na jaega...

har gum ko bhula sakta hu..

har gum ko bhula ke ji sakta hu tere gum ke siwa
bas ek teri hi khalish hai ki dil se jati nahi
meri zindagi ki manzil hai teri chahat
sab hai hasil bas manzil hi nazar ati nahi...

ankhon mein...

ankh lage to tu hi khwabon mein
ankh khule to tu nigahon mein
palkon mein kaid kar lu tujhe, aa meri zindagi
ke tujhe hi dekhu jab tak ho nazar meri ankhon mein...


tujhe du itni chahat, teri karu har pal hifazat
tu rehna chahe umr bhar meri bahon mein
aa mein banu tera sahara, tujhe na ho mujh bin jeena gawara
zara dekh to aaina jan-e-GHAZAL, tughe mein hi dikhunga teri ankhon mein...

wo kuch jo poore na ho sake...

tumhare jane se zindagi talash si ban gai hai
jane fir kis mod pe milogi, ek raaz si ban gai hai...


mei arzoo teri bandagi, meri zustazoo teri ashiqui
teri pyas hai a rub-a-roo, meri zindagi meri dillagi...

ek tishnagi hai teri arzoo, tere deedaar ko hai betaab ankhein...


dua kaise kabool ho meri, jo sajde mein tera naam padhu
samne hai tasveer rab ki aur sakhe tere naam likhu...


roz tere milne ki dua, roz teri chahat ki arzoo
bas is mein simat gai hai zindagi meri
ke bin tere aur kuch pane ki chahat bhi kya karu...


jo roz milte hai wo dil mein sama jate hai
jo mil ke bhi nahi milte, wo yad bahut ate hai...


aaj rat meine ek sapna dekha tha
aur kuch nahi, tujhe apna dekha tha
baadln ke saye mein se jhaak rahi thi tum
ek anjane bandhan mein mujhe bandh rahi thi tum...

my first and fav one..

tu khud ek GHAZAL hai tujhe shayari kya sunau
ji karta hai teri nigahon se pita chala jau
door na hu tujhse umr bhar
in zulfon ki chav mein jita chala jau...

arsa beet gaya unhe bhulae hue....

arsa beet gaya unhe bhulae hue
unki yad ae hue, unhe satae hue
jane kyu aj fir yad ai hai unki
jane kyu ashq hai ankhon mein samae hue...

jane kyu khade hai gum muskurae hue
jane kyu aj hai kadam dagmagae hue
hum to kab ke bhool chuke the unko
fir kyu hai aj unki ibadat mein sir jhukae hue....

kyu chalti hai kalam meri naam pe unhi ke
kyu GHAZAL ban jate hai dard sine mein dabae hue
kyu unki raah tak-ta hai dil ye mera
kyu apne nazar ate hai wo jo parae hue...

jab tod chuke hai mughse wo har rishta
to kyu hai mere sapno mein chae hue
mehak-ti hai fiza mein bhi ye dishayein
kyu hai pawan unki khushboo lae hue....

mujh ko apna dil bhi wo dete nahi
jane kab se hai mera dil jo churae hue
lamha-lamha unka deedaar karta hu mein
palkon mein jin ka chehra hu chupae hue...

ye ishq hai mera ya mera junoon hai
jo hai meri nindein udae hue
log kehte hai ki hum gair hai un ke liye
hum hai jinhe apne dil mein basae hue...

jab ana hi hai unko paas mere
to kyu hai rukh pe naqaab sajae hue
kaise batau unhe haal apne dil ka
kitna waqt guzar gaya unhe kuch sunae hue...

ye din ye rat, ye waqt ye zazbat
sab hai unki yad lae hue
kaise ji paenge hum un ke bina
jin ko rag-rag mein hu apni basae hue...

aaine mein nazar ate hai wo hi
arsa beet gaya jinhe bhulae hue
kya wakai waqt guzar gaya unki yad ae hue...
ya sadiyan beet gai un mein khud ko samae hue...

shayad koi lamha na guzra unki yad bina lae hue
shayad ji na sakunga mein unko bhulae hue
un ke bina ye hal hai meri zindagi ka
ki har khushi hai malal ka rang lae hue...

han, arsa beet gaya hai khud ko bhulae hue
khud ki yad ae hue, khud mein samae hue
aaj hai ashq ankhon mein ae hue
kyuki apne the jo kabhi...wo ab parae hue...

aaj fir...

aaj fir dil ne yad kiya hai tujh ko
aaj fir ankh bhar ai hai
bahut khush hu mein ya gum hai judai ka
jo ye chot dil ki ubhar kar ai hai
dil mein pyar aur hoton pe inkar hai
kaisi ye majboori chahat mein ai hai
mein door hu tujhse utna, jitni tu dil k paas hai
kya meri kismat mein sirf gum-e-tanhai hai
aashiyan saja rakha hai teri chahat mein sanam
ab to aja, aisi bhi kya hoti koi ruswai hai
sir jhuka k teri ibadat kar raha hu mein
w dekh, maut mughe lene ai hai
o sanam, ab bhi na aya....kya tu itna harzai hai...

GHAZAL

us GHAZAL ka aks hi kafi hai deewangi k liye,
wo sirf GHAZAL hi nahi, wo to us shayar ke dil ka sukoon hai,
us GHAZAL ko pana hai zindagi ka maksad,
wo sirf GHAZAL hi nahi, wo too zindagi ka junoon hai...