arsa beet gaya unhe bhulae hue
unki yad ae hue, unhe satae hue
jane kyu aj fir yad ai hai unki
jane kyu ashq hai ankhon mein samae hue...
jane kyu khade hai gum muskurae hue
jane kyu aj hai kadam dagmagae hue
hum to kab ke bhool chuke the unko
fir kyu hai aj unki ibadat mein sir jhukae hue....
kyu chalti hai kalam meri naam pe unhi ke
kyu GHAZAL ban jate hai dard sine mein dabae hue
kyu unki raah tak-ta hai dil ye mera
kyu apne nazar ate hai wo jo parae hue...
jab tod chuke hai mughse wo har rishta
to kyu hai mere sapno mein chae hue
mehak-ti hai fiza mein bhi ye dishayein
kyu hai pawan unki khushboo lae hue....
mujh ko apna dil bhi wo dete nahi
jane kab se hai mera dil jo churae hue
lamha-lamha unka deedaar karta hu mein
palkon mein jin ka chehra hu chupae hue...
ye ishq hai mera ya mera junoon hai
jo hai meri nindein udae hue
log kehte hai ki hum gair hai un ke liye
hum hai jinhe apne dil mein basae hue...
jab ana hi hai unko paas mere
to kyu hai rukh pe naqaab sajae hue
kaise batau unhe haal apne dil ka
kitna waqt guzar gaya unhe kuch sunae hue...
ye din ye rat, ye waqt ye zazbat
sab hai unki yad lae hue
kaise ji paenge hum un ke bina
jin ko rag-rag mein hu apni basae hue...
aaine mein nazar ate hai wo hi
arsa beet gaya jinhe bhulae hue
kya wakai waqt guzar gaya unki yad ae hue...
ya sadiyan beet gai un mein khud ko samae hue...
shayad koi lamha na guzra unki yad bina lae hue
shayad ji na sakunga mein unko bhulae hue
un ke bina ye hal hai meri zindagi ka
ki har khushi hai malal ka rang lae hue...
han, arsa beet gaya hai khud ko bhulae hue
khud ki yad ae hue, khud mein samae hue
aaj hai ashq ankhon mein ae hue
kyuki apne the jo kabhi...wo ab parae hue...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment