Tuesday, February 9, 2010

Tujhe is kadar chaha....

The 2nd line which repeats itself is ALMOST copied from a famous GHAZAL by an old urdu poet, rest is mine)

Tujhe is kadar chaha ki tere gum mein, sab gumon ko bhula diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

ik teri yadon ko pirone ke liye, sab yadon ko mita diya
mein chala aya apne desh chod ke, apne sapno ko tod ke
sirf tujhe pane ke liye, dekh meine kya-kya na kiya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

maut se bhi mila magar, wo mujhe chod ke chali gai
kehti thi ki tere dil mein dhadkan hi teri nahi, tu mere kabil nahi
dekh teri judai ne mujhko patthar bana diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhko kya bana diya...

tune bhulana to chaha bahut mujhe, aur is koshish mein mujhko yad kiya
teri har koshish ne mujhko ek naya zakhm diya,
mere dil pe kya-kya guzari, meri ik jhalak ne tujhko bata diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

dekha jo meine aina, teri hi surat nazar ai
mera aks mujhse bichad gaya, meri rooh bhi ghabra gai
dekh teri judai ne, mujhko mujh se juda kiya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

No comments:

Post a Comment