bas yu hi guftagu mein
aaj kisi ka naam aya
na koi bat thi na hi kuch masla
jane kyu ek badguman sa khayaal aya
ye kya hua tha mujhe jo sun ke us naam ko
mere soone dil mein, uth-ta hua ek toofaan aya
na guzra waqt yaad hai mujhe ab
na hi kuch hosh hai kal ka
na apna hi khayaal hai baki
na kuch parwa hai zamane ki
kisi ne poocha sabab mere haal ka
zuban pe wahi ek naam aya
kisi se kehte to kya kehte
kuch karte to kya karte
doobti sansein thi aur dhadkanein kamzoor
zuban jab hone lagi khamoosh to
ladkhadata hua faqat ek naam aya...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment