Tuesday, March 16, 2010

Mere khwabon mein ek saya sa ata hai...

mere khwabon mein ek saya sa ata hai
ek naksh sa banta hai aur dhul jata hai
ek kasak si uth-ti hai aur sihar jata hu mein
har pal mujhe wo bas teri yad dilata hai...

aap se mila tha mein, aap ko chaha tha humne
aap ki yadon se har lamhe ka sajaya tha humne
dil poochta hai ki jab koi zindagi mein itna ho shamil
to kyu akhir wo nata tod jata hai...

kya kisi ko chahna hi kafi nahi hota
kya apna sab kuch lutana kafi nahi hota
kyu ishq mangta hai dil se nikla khoon
kyu hota hai ki in ke bawjood dil toot jata hai...

hum ghataon mein hai ghire hue
lagta hai ki girte hai ansu baraste hue
kyu lagta hai ki suraj ki chamak hai sirf tujhe hasil
kyu hota hai ki nazar mein aur koi nahi samata hai...

humne lakh koshish ki ke lab pe tera naam na ae
maikhana-o-sharaab se hi sahi, nasha tera utar jae
har koshish naakaam rahi aur hum har gae
akhir pehle pyar ko kahi koi bhool pata hai...

No comments:

Post a Comment