Tuesday, February 16, 2010

meri shayari ne tujhe...

meri shayari ne tujhe GHAZAL banaya hai
mere dil pe tere pyar ka saya hai
mera har pal hai tujh se juda hua
meri zindagi ka tu hi to sarmaya hai...

Monday, February 15, 2010

kash tere dil ko mere dil se pyar hua hota...

wo baithe sun rahe hai dil ki daastaan shauk se
kash mohabbat ka teer unke bhi dil ke paar hua hota
wo sanjeedagi se jite hai, mohabbat nahi jante
kash is masoomiyat se na nazron ka takrar hua hota
zindagi ek bhanwar mein ulajh kar reh gai
kash tu, bas tu, mera patwaar hua hota
meri zindagi ka malik hua hai jo
kash tere dil ko mere dil se pyar hua hota...

khwab-e-tasavur...

khwab-e-tasavur mein ate the to chain na padta tha
ke samne ake tumne dil ki beqarari aur bhi badha di...

teri parchaai ko bhi chune se ab to lagta hai dar
mein paas jo gaya to sharma ke usne nazar yu jhuka di...

sari-sari rat ankhon mein kat-ti hai

sari-sari raat ankhon mein kat-ti hai
din mein bhi karar ata nahi
dil hai ki bhawar mein hai uljha hua
sahil nazar ata nahi
ek ashiq teri mohabbat mein tadap raha hai
tujhe kyu chaha is kadar, ab talak samajh ata nahi
o sang dil, tujhe sada dil samjhe the hum
chot jo khai thi uska, dard ab bhi jata nahi...

kab se tujhe dekha nahi hai...

kab se tujhe dekha nahi hai
lagta hai nigahon mein ab roshni nahi hai
kab aega saamne, mujhe ae mere dildaar bata de
tadap raha hai dil, koi tera chehra dikha de...

mohabbat mein bat banti nahi...

mohabbat mein bat nahi banti jab tak pagalpan nahi chata
ulfat mein maza nahi ata, jab tak kinara nazar nahi ata
meri mohabbat dasht-e-sehra mein bhatakti hai teri janib
kaise choote teri aas, jab tak maut ka paigaam nahi ata...

...

nami kuch ab talak hai ankon mein, lagta hai tera naam fir yad a gaya...




kya batayen kya jal raha hai, bas ek aag si lagi hai kahi, aur dhuan uth raha hai...


mana ki ishq asan nahi hota, lekin gum-e-ishq hi jahan nahi hota...

tere dar-o-baam se...

tere dar-o-baam se apna imaan utha kar gaye
hum apne sir laga ilzaam utha kar gaye
tune chod diya humein apne haal pe
hum apni ulfat ki lash aap utha kar gaye...

Wednesday, February 10, 2010

tere anchal mein nahi simatega...

tere anchal mein nahi simtega ye pyar mera
samet sakta ho to samet kar dekh le
hum tere liye apni jan bhi de denge sanam
gar na ho yakeen to aazma ke dekh le
lab pe naam tera leti hai sari duniya
dil mein na hoga kisi ke, har dil ko cheer kar dekh le
tu mujhe bhool gaya bas ek baar mil ke
meri yad mein kabhi khud ko bhula kar dekh le
ishq hota hai kya ye jaan jaega tu
bas ek bar khud ko mujh mein samet kar dekh le...

chahne wale hazaron honge tumhare...

chahne wale hazaron honge tumhare
humsa magar kaun tumhe chahega
kanton bhare raston par tumhare liye
hatheli apni kaun bichaega
jao jaha chahte ho jana
kar lo sabhi shauk poore
jab tanha reh jaoge raste mein
to sath hamare siwa kaun nibahega
tumko pasand sirf dikhawa hai
duniya mein sirf chalawa hai
basa lo kisi ko bhi apne ghar mein
kaise dil mein koi bas jaega...

jab soya...

jab soya to sapno mein tumhe dekhna chaha
jab jaga to saamne tumhe dekhna chaha
ek teri chahat ke siwa
humne kuch kabhi na chaha...

aaj bhi tum rehti ho man mein...

aaj bhi tum rehti ho man mein
aaj bhi tera pyar hai jawan,
dhadkan ban kar basi ho dil mein
lahu ki tarah rag-rag mein ho rawan,
chalta hu mein usi ret par
jis par hai tere kadmon ke nishan...2

tum mano ya na mano...

tum mano ya na mano ye shiddat hai tumhari
ye sirf shayari nahi mohabbat hai hamari
jana chaho door humse, izazat hai tumhe
bas laut ana agar kabhi yad ae hamari...

aaj mere ishq ka fasana hua hai...

aaj mere ishq ka fasana hua hai
dal de is mein jaam ke dil paimana hua hai
tujh pe lutane chala hu jaan apni
deewane bhi kehte hai deewana hua hai...

aks...

apne aks mein aks dekhta hu tera
kho jati hai hasti meri
jis din tujhe dikhega tere aks mein aks mera
sanwar jaegi duniya meri...

jane kyu par tujh bin...

jane kyu par tujh bin sab udas sa lagta hai
jis din tera deedar nahi hota, wo din badhawaas sa lagta hai
tujh bin ji nahi sakta, tujh bin mar nahi sakta
jeevan ek khali kitaab, ek anbujhi pyaas sa lagta hai...

jab bhi tum yad karti ho...

jab bhi tum yad karti ho
ek ahat si hoti hai
dil ki mehfil sajti hai
ek dastak si hoti hai...(to be contd.)

hawa ke har jhonke mein...

hawa ke hae jhonke mein tera ehsaas hota hai
yahi to hai jo har pal mere paas hota hai
sans jo mein leta hu, ati hai teri hi khushboo
mere khwabon ki duniya mein basi hui hai tu hi tu...

Tuesday, February 9, 2010

dhadkan dheemi, nabz thami hui si lagti hai...

dhadkan dheemi, nabz thami hui si lagti hai
jaha bhi dekhta hu, teri surat saji hui si lagti hai
ehsaas hota hai tere saath ka har pal mujhko
jaise meri rag-rag mein basi hui si lagti hai...

tumko na bhool paenge...

ye waqt guzar jaega, sara manzar badal jaega
wo guzre hue din, wo bite hue pal humko sataenge
tuko na bhool paenge...

ji to chahta hai wo sab laut ae
wo waqt, wo lamhe jo tum sang bitae
par jane wale kab laut ke ae hain, kab aenge
tumko na bhool paenge...

hum samjhe hai ab, ab sambhal jaenge
par sambhal ke bhi kya sambhle
jo tumko sang na paenge
tumko na bhool paenge...

kash ke teri bahon mein yu hi nikal jata dum
maut ka dukh na hota, na hota judai ka gum
ye arman hai wo mere, jo dil mein hi machal jaenge
tumko na bhool paenge...

hum raah dekhenge tumhari, jab tak kayamat na aegi
ye gum judai ka jab tak rooh seh paegi
asha ki aas na chodenge, wo waqt wapas laenge
tumko na bhool paenge...

wo manzar, wo lamhe, mere pyar ke age muzboor ho jaenge
jo tumko kho diya to kya, tumko wapas paenge
tumko na bhool paenge...3

arman...

tum mere dil mein raho, ye mera arman hai
tum meri pehchan bano, ye mera arman hai
mera har arman hai tujh se juda hua
tujhse lekar tujh tak..bas itni meri daastan hai...

awara pal...

awara pal yu bit-te hai meri zindagi ke
teri chahat mein aise bhatakta hu mein
jaise ab kuch bacha hi na ho mujh mein
ek teri chahat ke siwa...

Tujhe is kadar chaha....

The 2nd line which repeats itself is ALMOST copied from a famous GHAZAL by an old urdu poet, rest is mine)

Tujhe is kadar chaha ki tere gum mein, sab gumon ko bhula diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

ik teri yadon ko pirone ke liye, sab yadon ko mita diya
mein chala aya apne desh chod ke, apne sapno ko tod ke
sirf tujhe pane ke liye, dekh meine kya-kya na kiya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

maut se bhi mila magar, wo mujhe chod ke chali gai
kehti thi ki tere dil mein dhadkan hi teri nahi, tu mere kabil nahi
dekh teri judai ne mujhko patthar bana diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhko kya bana diya...

tune bhulana to chaha bahut mujhe, aur is koshish mein mujhko yad kiya
teri har koshish ne mujhko ek naya zakhm diya,
mere dil pe kya-kya guzari, meri ik jhalak ne tujhko bata diya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

dekha jo meine aina, teri hi surat nazar ai
mera aks mujhse bichad gaya, meri rooh bhi ghabra gai
dekh teri judai ne, mujhko mujh se juda kiya
mein ik zinda admi tha, tere ishq ne mujhe kya bana diya...

Tum kya gaye ankhon ne...

Tum kya gaye ankhon ne tere intzar mein kuch dekha hi nahi
zindagi to kai bar mili, meine uska pata poocha hi nahi
teri arzoo thi kuch is kadar hawi
ke rab aya samne to use bhi pooja nahi
ab mera rab bhi hai mujhse khafa
aur tu mujhe hasil nahi
meri zindagi ka falsafa hai tu hi
aur tu kehta ki mein tere kabil nahi...

Saturday, February 6, 2010

chandani raat mein...

chandani rat mein, badlon ke darmiyan, yu muskurana aap ka
bas apni ek ada se wo qatl kar jana aap ka
aap ko dekha aur khud ko bhool baithe hum
tha kuch aisa hi mehtaab sa chehra aap ka
deedaar hua aapka aur nashe mein kho gaya
ye aankhein hai aap ki ya maikhana hai aap ka
aap ko paa kar khudai bhi luta dete hum
ae jan-e-GHAZAL, jo sath mil jata aap ka
dekha jo aap ko, sapne dekhte reh gae
zindagi khwab se khakh ho gai
jo hua yun mil ke bichadna aap ka....

ae saaki tughe...

ae saaki tujhe samjhane se kya hoga
dard-e-dil dikhlane se kya hoga
pyas mujhe teri mohabbat ki hai
duniya bhar ke maikhane se kya hoga...

some-one wrote these beautiful words..

toot jate hai sabhi rishte, dil se dil ka rishta apni jagah
dil ko hai tujhse na milne ka yaqeen, tujhse milne ki dua apni jagah...

raston ko paar kar ke..

raston ko paar ke manzilon ko kho diya
tere siva is dil ko kuch diya to kya diya
jine ke liye dil ki zaroorat hai aur dil ko teri
jab tum hi na mili to ji ke bhi kya jiya...

dard-e-dil sunane ko hai bahut..

dard-e-dil hai sunanae ko bahut
par har shakhs ko ye sunaya nahi jata
tera naam kis tarah lu mein sab ke samne
ke shayari mein GHAZAL ko dhaalaa nahi jata
tu ek "khazana" hai jise paane ko dil chahta hai
par ye bhi to sach hai ki
har "khazana" duniya mein paya nahi jata...

dard-e-dil ki dastan kya sunae..

dard-e-dil ki daastaan kya sunaye, bas tera hi naam aega
apni halat kya batae, mere qatl ka sabab poocha jaega
koi hum ko kuch kahe to sun le sau tane bhi hans ke
kisi ne tujhko patthar kaha to saha na jaega...

har gum ko bhula sakta hu..

har gum ko bhula ke ji sakta hu tere gum ke siwa
bas ek teri hi khalish hai ki dil se jati nahi
meri zindagi ki manzil hai teri chahat
sab hai hasil bas manzil hi nazar ati nahi...

ankhon mein...

ankh lage to tu hi khwabon mein
ankh khule to tu nigahon mein
palkon mein kaid kar lu tujhe, aa meri zindagi
ke tujhe hi dekhu jab tak ho nazar meri ankhon mein...


tujhe du itni chahat, teri karu har pal hifazat
tu rehna chahe umr bhar meri bahon mein
aa mein banu tera sahara, tujhe na ho mujh bin jeena gawara
zara dekh to aaina jan-e-GHAZAL, tughe mein hi dikhunga teri ankhon mein...

wo kuch jo poore na ho sake...

tumhare jane se zindagi talash si ban gai hai
jane fir kis mod pe milogi, ek raaz si ban gai hai...


mei arzoo teri bandagi, meri zustazoo teri ashiqui
teri pyas hai a rub-a-roo, meri zindagi meri dillagi...

ek tishnagi hai teri arzoo, tere deedaar ko hai betaab ankhein...


dua kaise kabool ho meri, jo sajde mein tera naam padhu
samne hai tasveer rab ki aur sakhe tere naam likhu...


roz tere milne ki dua, roz teri chahat ki arzoo
bas is mein simat gai hai zindagi meri
ke bin tere aur kuch pane ki chahat bhi kya karu...


jo roz milte hai wo dil mein sama jate hai
jo mil ke bhi nahi milte, wo yad bahut ate hai...


aaj rat meine ek sapna dekha tha
aur kuch nahi, tujhe apna dekha tha
baadln ke saye mein se jhaak rahi thi tum
ek anjane bandhan mein mujhe bandh rahi thi tum...

my first and fav one..

tu khud ek GHAZAL hai tujhe shayari kya sunau
ji karta hai teri nigahon se pita chala jau
door na hu tujhse umr bhar
in zulfon ki chav mein jita chala jau...

arsa beet gaya unhe bhulae hue....

arsa beet gaya unhe bhulae hue
unki yad ae hue, unhe satae hue
jane kyu aj fir yad ai hai unki
jane kyu ashq hai ankhon mein samae hue...

jane kyu khade hai gum muskurae hue
jane kyu aj hai kadam dagmagae hue
hum to kab ke bhool chuke the unko
fir kyu hai aj unki ibadat mein sir jhukae hue....

kyu chalti hai kalam meri naam pe unhi ke
kyu GHAZAL ban jate hai dard sine mein dabae hue
kyu unki raah tak-ta hai dil ye mera
kyu apne nazar ate hai wo jo parae hue...

jab tod chuke hai mughse wo har rishta
to kyu hai mere sapno mein chae hue
mehak-ti hai fiza mein bhi ye dishayein
kyu hai pawan unki khushboo lae hue....

mujh ko apna dil bhi wo dete nahi
jane kab se hai mera dil jo churae hue
lamha-lamha unka deedaar karta hu mein
palkon mein jin ka chehra hu chupae hue...

ye ishq hai mera ya mera junoon hai
jo hai meri nindein udae hue
log kehte hai ki hum gair hai un ke liye
hum hai jinhe apne dil mein basae hue...

jab ana hi hai unko paas mere
to kyu hai rukh pe naqaab sajae hue
kaise batau unhe haal apne dil ka
kitna waqt guzar gaya unhe kuch sunae hue...

ye din ye rat, ye waqt ye zazbat
sab hai unki yad lae hue
kaise ji paenge hum un ke bina
jin ko rag-rag mein hu apni basae hue...

aaine mein nazar ate hai wo hi
arsa beet gaya jinhe bhulae hue
kya wakai waqt guzar gaya unki yad ae hue...
ya sadiyan beet gai un mein khud ko samae hue...

shayad koi lamha na guzra unki yad bina lae hue
shayad ji na sakunga mein unko bhulae hue
un ke bina ye hal hai meri zindagi ka
ki har khushi hai malal ka rang lae hue...

han, arsa beet gaya hai khud ko bhulae hue
khud ki yad ae hue, khud mein samae hue
aaj hai ashq ankhon mein ae hue
kyuki apne the jo kabhi...wo ab parae hue...

aaj fir...

aaj fir dil ne yad kiya hai tujh ko
aaj fir ankh bhar ai hai
bahut khush hu mein ya gum hai judai ka
jo ye chot dil ki ubhar kar ai hai
dil mein pyar aur hoton pe inkar hai
kaisi ye majboori chahat mein ai hai
mein door hu tujhse utna, jitni tu dil k paas hai
kya meri kismat mein sirf gum-e-tanhai hai
aashiyan saja rakha hai teri chahat mein sanam
ab to aja, aisi bhi kya hoti koi ruswai hai
sir jhuka k teri ibadat kar raha hu mein
w dekh, maut mughe lene ai hai
o sanam, ab bhi na aya....kya tu itna harzai hai...

GHAZAL

us GHAZAL ka aks hi kafi hai deewangi k liye,
wo sirf GHAZAL hi nahi, wo to us shayar ke dil ka sukoon hai,
us GHAZAL ko pana hai zindagi ka maksad,
wo sirf GHAZAL hi nahi, wo too zindagi ka junoon hai...