Friday, May 21, 2010

chali gayi tu chod ke mujhe jane kaunse jahan mein...

chali gayi tu chod ke mujhe jane kaunse jahan mein
kash thehar jati kuch pal to shayad hum bhi ro lete teri panahon mein
ye dard dil ka kum to na ho pata
par wo sailaab to beh jata jo thehra hua hai ankhon mein...

Wednesday, May 5, 2010

sab gum bhula chuka hu ek tere gum ke siwa...

sab gum bhula chuka hu ek tere gum ke siwa
sab kuch luta chuka hu mein ek teri chahat ke siwa
meri khushi, meri zindagi, mere jivan ka sahara
sab cheen liya tune mujh se, ek teri mohabbat ke siwa
kitna khush tha mein, kitne chahne wale the
kisi se dil na laga saka, ek tere siwa
kehne ko to tarike bahut hai man behlane ke
lekin ye dil nahi behelta ek tere siwa
kehte hai mohabbat mein sirf diya jata hai
hamne apna sab kuch de diya tum ko, ek apne naam ke siwa
zindagi se wada hai ke ji na sakenge
maut se, ki mar na sakenge...tere siwa...

humein maloom na tha...

dard ate hai khushi ka chehra liye humein maloom na tha
jina padega aap ke bina humein maloom na tha
kabhi socha na tha ki shab-e-intzaar kismat ban jaegi
dil ke dard hote hai itne sangeen, humein maloom na tha...

hai kaun ye sapnoo mein aya fir se...

(kalam chali hai fir aaj
chot purani koi ubhar ke aai hai
dard bayan hota nahi
ab sirf mein aur meri tanhaai hai)

hai kaun ye sapnoo mein aya fir se
kis ne di mere naam ki duhaai hai
han koi to hai jo bulata hai mujh ko
zara bata to, kaha pe wo saudaai hai
mein jaan aapni jis ke hawale kar aya tha
yadon ke jungle mein chupa hua wo harjaai hai
chahiye mujhe dil apna wapas us sangdil se
koi aur bhi hai jo is ka tamannaai hai...

ek hi shaqs tha jo na bhulaya gaya hum se...

ye zindagi teri kahani na ban saki
aur koi nagma bhi na gaya gaya hum se
yun to sau dard roz bhool jate hai hum
ek hi shaqs tha jo na bhulaya gaya hum se...(to be cont..)

har geet mein sunai deti hai teri awaaz mujhe...

har geet mein sunai deti hai teri awaaz mujhe
ek hi nagma sunai deta hai ek hi saaz mujhe
jaise veerane mein laut ati hai sadaa takra ke vaadiyon se
aise aati hai dil ke har kone se teri awaaz mujhe…