Sunday, February 5, 2012

kabhi poocha na meine...

kabhi poocha na meine tujh se ki tu kyu harjayee ho gaya
tod k dil mera ae saudaai tu kisi aur ka khudaaiyee ho gaya...

adat daal li thi meine jine ki tere bina
bas ek yad kya ai teri aur dil fir tera tamannayee ho gaya...

meri chahat...

ye jagah nayi hai log naye hai
meri yadein purani hai
ye daur naya h culture naya hai
dil ki dhadkan purani hai
dhang naya hai rang naya hai
meri soch purani h
ghar naya h rasata naya h
meri chal purani h
tera chehra badal gaya h mohabbat
magar meri chahat purani h
tu a kisi bhi roop mein samne
mere tasavvur mein basi teri tasveer purani h
yaha kuch bbhi nahi jo tera ehsaas dilae mjhe,magar,
meri sansoon mein basi teri khushboo purani h

Wednesday, September 21, 2011

tujh se door hu par...

tujh se door hu par dil teri yad se abaad hai
jee raha hu ke dil mein tujh se milne ki fariyaad hai
ye pyar hi hai jis ne se mehekta hai chaman
tu nahi to ye gulistan ye chaman sab barbaad hai...

kabhi dasht mein kabhi sehra mein...

kabhi dasht mein kabhi sehra mein pukara tujh ko
kabhi ankhon se kiya milne ka ishara tujh ko...
to b cont.

Tuesday, December 28, 2010

hasrat...

teri agoosh mein rahu hasrat hai meri
teri zulfon tale soya karu hasrat hai meri
hai hasrat ye ki tujh se saje ho din-rat mere
aur nindon mein dekhti ho mujhe nazarein teri...

teri yaad...

kabhi naam liya mohabbat ka to teri yaad ai
kabhi naam liya ulfat ka to teri yaad ai
yaad ai teri jab pooja kahi khuda humne
aur kabhi dhoondha khud ko to teri yaad ai

yaad...

yaad ati hai teri kabhi to pee leta hu
yaad jati nahi teri kabhi to pee leta hu
kabhi rota hu kabhi hansta hu
kabhi marta hu kabhi jee leta hu...

fasana...

geeton mein mere tera hi tarana hai
kehna hai kya aur kya ab chupana hai
tere liye hi jiye the tere liye hi mar gae
bas itni hi kahani hai bas itna fasana hai...

Wednesday, November 17, 2010

khud se begane ho gae

kabhi tujh mein itne kho gae ki khud se begane ho gae
kabhi ishq mein itna ulajh gae ki afsaane ho gae
kya parwah unhe is zamane ki
jo parwane, deewane ho gae...